hujum-e-gham hai qalb gham-zada hai
meri mahfil mera KHalwat-kada hai
azal se aaj tak koi na samjha
hayat-e-muKHtasar kya shoabada hai
bahakne de zara rindon ko saqi
yahi hangama jaan-e-mai-kada hai
kahan dekhoge tum apni tajalli
jo aaina hai wo hairat-zada hai
nazar kya jam-o-mina par uThaun
nigah-e-dost pura mai-kada hai
idhar bhi ruKH kar ai baran-e-rahmat
hamara aashiyan aatish-zada hai
mere pine pe pabandi hai jab se
'saba' ujDa hua sa mai-kada hai
Ghazal
Hujum-e-gham hai qalb gham-zada hai
Saba Akbarabadi