dayar-e-zat mein jab KHamushi mahsus hoti hai
to har aawaz jaise gunjti mahsus hoti hai
main thoDi der bhi aankhon ko apni band kar lun to
andheron mein mujhe ek raushni mahsus hoti hai
suna tha main ne ye to pattharon ka shahr hai lekin
yahan to pattharon mein zindagi mahsus hoti hai
tasawwur mein teri taswir main jab bhi banata hun
mujhe har bar rangon ki kami mahsus hoti hai
jise sochon ne Dhaala ho KHayalon ne tarasha ho
wo chehra dekh kar kitni KHushi mahsus hoti hai
yahi bedariyan hain jo mujhe sone nahin detin
inhin bedariyon mein nind bhi mahsus hoti hai
ye ab main aagahi ki kaun si manzil pe aa pahuncha
mujhe sairabiyon mein tishnagi mahsus hoti hai
Ghazal
Dayar-e-zat mein jab KHamushi mahsus hoti hai
Bharat Bhushan Pant