اردو हिंदी
Dayar-e-shauq mein koson kahin hawa bhi nahin | Shaahi Shayari
dayar-e-shauq mein koson kahin hawa bhi nahin

Ghazal

Dayar-e-shauq mein koson kahin hawa bhi nahin

Nasir Zaidi

;

dayar-e-shauq mein koson kahin hawa bhi nahin
umas hai aisa ki patta koi hila bhi nahin

KHafa nahin hai magar is ada ko kya kahiye
pukarta hun to wo muD ke dekhta bhi nahin

ye kis maqam pe tanhai saunpte ho mujhe
ki ab to tark-e-tamanna ka hausla bhi nahin

baDa gila hai dil-e-gham-parast ko tum se
wo dard us ko diya hai jo la-dawa bhi nahin

kahan talash karen juz tere sukun-e-nazar
ki is jahan mein koi tujh sa dusra bhi nahin

basa hua hai mere dil mein bu-e-gul ki tarah
wo dur dur hai mujh se magar juda bhi nahin

kise sunaoge tum muzhda-e-sahar 'nasir'
wo rat-jage hue ab koi jagta bhi nahin