dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun
main ek umr se apne hi ghar mein raushan hun
hujum-e-shab-zadgan se farar ho kar aaj
jamal-e-shola-e-sham-e-saher mein raushan hun
main muntazir hun to phir muntazar bhi aaega
charagh-e-jaan ki tarah rah-guzar mein raushan hun
na jaane kab meri hasti dhuan dhuan ho jae
main ek saat-e-na-motabar mein raushan hun
mere harif-e-suKHan kuchh tujhe KHabar bhi hai
tere sabab se hisar-e-hunar mein raushan hun
nizam-e-gardish-e-dauran mera muqaddar hai
main ek sitare ki surat safar mein raushan hun
akela jaan ke KHud ko na ho udas ki main
misal-e-ashk teri chashm-e-tar mein raushan hun
mujhe talash na kar meri zat mein 'shahbaz'
bahut dinon se jahan-e-digar mein raushan hun
Ghazal
Dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun
Shahbaz Nadeem Ziai