dayar-e-shahid-e-bilqis-ada se aaya hun
main ek faqir hun shahr-e-saba se aaya hun
jahan-e-nau ki talab aur is KHarabe mein
sawad-e-istaKHr-o-nainwa se aaya hun
shab-e-siyah-e-KHizan ke sumum-o-sar-sar tak
nigar-KHana-e-shubh-o-saba se aaya hun
abhi kahan hai mujhe nauha-o-nawa ka shuur
ki ek nahiya-e-be-nawa se aaya hun
mere rumuz ka irfan kise nasib ki main
sarosh-e-ruh-e-azal hun sama se aaya hun
damak rahi hai zaman-o-makan ki peshani
sitara-e-abadi hun KHala se aaya hun
tumhaare ghuncha-o-gul se gharaz nahin mujh ko
idhar ishaara-e-baad-e-saba se aaya hun
Ghazal
Dayar-e-shahid-e-bilqis-ada se aaya hun
Rais Amrohvi