dayar-e-sang mein rah kar bhi shishagar tha main
zamana chiKH raha tha ki be-KHabar tha main
lagi thi aankh to maryam ki god ka tha guman
khuli jab aankh to dekha salib par tha main
aman kise thi mere sae mein jo rukta koi
KHud apni aag mein jalta hua shajar tha main
tamam umr na laDne ka gham raha mujh ko
ajab mahaz pe haara hua zafar tha main
hawa-e-waqt ne patthar bana diya warna
lachakti shaKH se TuTa hua samar tha main
tamam shahr mein jangal ki aag ho jaise
hawa ke dosh pe uDti hui KHabar tha main
Ghazal
Dayar-e-sang mein rah kar bhi shishagar tha main
Jamuna Parsad Rahi