dayar-e-jism se sahra-e-jaan tak
uDun main KHak sa aaKHir kahan tak
kuchh aisa hum ko karna chahiye ab
utar aae zamin par aasman tak
bahut kam fasla ab rah gaya hai
bipharti aandhiyon se baadban tak
mayassar aag hai gul ki na bijli
andhere mein paDe hain aashiyan tak
ye jangal hai nihayat hi pur-asrar
qadam rakhti nahin is mein KHizan tak
wahin tak kyun rasai hai hamari
nuqush-e-pa zamin par hain jahan tak
nikal aao hisar-e-KHamushi se
jo dil mein hai wo lao bhi zaban tak
yahan shaitan pa hai ek larza tari
nahin uThta charaghon se dhuan tak

Ghazal
Dayar-e-jism se sahra-e-jaan tak
Rafiq Raaz