اردو हिंदी
Dayar-e-jaan pe musallat ajab zamana raha | Shaahi Shayari
dayar-e-jaan pe musallat ajab zamana raha

Ghazal

Dayar-e-jaan pe musallat ajab zamana raha

Adeeb Suhail

;

dayar-e-jaan pe musallat ajab zamana raha
ki dil mein dard labon par rawan tarana raha

kisi pe barq giri shaKH-e-jaan sulag uTThi
kisi pe sang chale sar mera nishana raha

qadam qadam pe mili garche sarsar-e-KHun-rez
hujum-e-gul usi andaz se rawana raha

adu-e-dost kabhi mujh ko mo'atabar na hua
azal se apna ye mear-e-dostana raha

jo qadar-e-fan ka tayyun karo to dhyan rahe
isi sabab se adu mera ek zamana raha

jo baat kahni hui hum ne barmala kah di
'suhail' shikwa kisi se na ghaebana raha