اردو हिंदी
Dayar-e-ishq ki shaMein jala to sakte hain | Shaahi Shayari
dayar-e-ishq ki shaMein jala to sakte hain

Ghazal

Dayar-e-ishq ki shaMein jala to sakte hain

Asad Badayuni

;

dayar-e-ishq ki shamen jala to sakte hain
KHushi mile na mile muskura to sakte hain

hamesha wasl mayassar ho ye zaruri nahin
do ek din ko tere pas aa to sakte hain

jo raaz-e-ishq hai un ko chhupaenge lekin
jo dagh-e-ishq hain sab ko dikha to sakte hain

hum imtihan mein nakaam hun ye ranj nahin
isi mein KHush hain ki wo aazma to sakte hain

nasim-e-subh ke jhonke hain KHush-gawar magar
kabhi kabhi ye dilon ko dikha to sakte hain

yahi bahut hai ki is KHar-zar-e-duniya mein
tujhe hum apne gale se laga to sakte hain