dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena
uDa ke dhul na miTTi KHarab kar lena
jafa bhi ho to wo tum jaano aur hum jaanen
na ho kisi ko KHabar is tarah KHabar lena
nishani le ke chalenge watan ko ghurbat ki
kahin se dasht ka daman zara katar lena
niyaz-e-husn bhi hai zindagi ke dhandon mein
kisi pe marne ki fursat mile to mar lena
isi jahan se milta hai dars-e-ibrat bhi
hazar shart hai lena na kuchh magar lena
na mai-kashi na ibaadat hamari aadat hai
ki samne koi kaam aa gaya to kar lena
wafa KHarab hai raftar-e-bahr-e-hasti ki
abhi to Dub hi ja phir kabhi ubhar lena
janab-e-shaiKH to bar-e-gunah se ghabrae
hami uThaenge 'natiq' zara idhar lena
Ghazal
Dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena
Natiq Gulavthi