اردو हिंदी
Dayar-e-hijr mein KHud ko to akasr bhul jata hun | Shaahi Shayari
dayar-e-hijr mein KHud ko to akasr bhul jata hun

Ghazal

Dayar-e-hijr mein KHud ko to akasr bhul jata hun

Aslam Kolsarii

;

dayar-e-hijr mein KHud ko to akasr bhul jata hun
tujhe bhi main teri yaadon mein kho kar bhul jata hun

ajab din the ki barson zarb-e-KHushbu yaad rahti thi
ajab din hain ki fauran zaKHm-e-KHanjar bhul jata hun

guzar jata hun ghar ke samne se be-KHayali mein
kabhi daftar ke darwaze pe daftar bhul jata hun

isi bais baDi chahat se milta hun ki main akasr
juda hote hi chehra nam paikar bhul jata hun

mujhe patthar ki surat hi sahi zinda to rahna hai
so main har waqia manzar-ba-manzar bhul jata hun

wo sab kuchh yaad rakhta hun bhulana jis ka behtar ho
magar jo yaad rakhna ho sarasar bhul jata hun