dayar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne wala
kahan gaya meri duniya sanwarne wala
phir us ke baad kabhi lauT kar nahin aaya
wafa ke rang nazar mein utarne wala
mujhe yaqin hai ki KHushbu ka ham-safar hoga
gulab husn-e-mohabbat ke warne wala
hamari did ko raqs-e-sharar chhoD gaya
judaiyon ki shab-e-gham guzarne wala
abhi talak hai sada paniyon pe Thahri hui
agarche Dub chuka hai pukarne wala
Ghazal
Dayar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne wala
Farrukh Zohra Gilani