اردو हिंदी
Dayar-e-dagh-o-beKHud shahr-e-dehli chhoD kar tujhko | Shaahi Shayari
dayar-e-dagh-o-beKHud shahr-e-dehli chhoD kar tujhko

Ghazal

Dayar-e-dagh-o-beKHud shahr-e-dehli chhoD kar tujhko

Habib Jalib

;

dayar-e-'dagh'-o-'beKHud' shahr-e-dehli chhoD kar tujh ko
na tha malum yun roega dil sham-o-sahar tujh ko

kahan milte hain duniya ko kahan milte hain duniya mein
hue the jo ata ahl-e-suKHan ahl-e-nazar tujh ko

tujhe markaz kaha jata tha duniya ki nigahon ka
mohabbat ki nazar se dekhte the sab nagar tujh ko

ba-qaul-e-'mir' auraq-e-musawwar the tere kuche
magar hae zamane ki lagi kaisi nazar tujh ko

na bhulega hamari dastan tu bhi qayamat tak
dilaenge hamari yaad tere rahguzar tujh ko

jo tere gham mein bahta hai wo aansu rashk-e-gauhar hai
samajhte hain mata-e-dida-o-dil dida-war tujh ko

main 'jalib'-dehlawi kahla nahin sakta zamane mein
magar samjha hai main ne aaj tak apna hi ghar tujh ko