اردو हिंदी
Dawa baghair koi tifl mar gaya to kya hua | Shaahi Shayari
dawa baghair koi tifl mar gaya to kya hua

Ghazal

Dawa baghair koi tifl mar gaya to kya hua

Baqar Naqvi

;

dawa baghair koi tifl mar gaya to kya hua
bas ek phul hi to tha bikhar gaya to kya hua

kabhi kabhi to raushni bhi ek azab-e-jaan hui
wo chandni se teri kokh bhar gaya to kya hua

na raat hi sanwar gai na raushni hi mar gai
andheri bauli mein chand utar gaya to kya hua

kamal jugnuon ka tha ki raushni mein kho gae
fareb apne sae hi se Dar gaya to kya hua

mere liye to KHwab ek chashma-e-hayat tha
kisi ko KHwab KHwab tha bikhar gaya to kya hua

guzarte mausamon ke qafile to raundte rahe
gharib koi sahn se guzar gaya to kya hua

na main koi sawar hun na koi mal-dar hun
udhar raha to kya hua idhar gaya to kya hua