daura hai jab se bazm mein teri sharab ka
bazar garm hai mere dil ke kabab ka
KHuban ko kis tarah se laga le hai baat mein
banda hun apni tab-e-zarafat-maab ka
jo nama-bar gaya na phira ek ab talak
ai dil tu intizar abas hai jawab ka
hasrat ye hai ki raat ko aae wo mah-ru
daulat se us ki did karun mahtab ka
altaf mein bhi us ke aziyyat hai sau tarah
laun kahan se hausla us ke itab ka
ruKHsar ke araq ka tere bhaw dekh kar
pani ke mol nirKH hua hai gulab ka
'hatim' yahi hamesha zamane ki chaal hai
shikwa baja nahin hai tujhe inqalab ka
Ghazal
Daura hai jab se bazm mein teri sharab ka
Shaikh Zahuruddin Hatim