اردو हिंदी
Daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale | Shaahi Shayari
daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale

Ghazal

Daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale

Taban Ghulam Rabbani

;

daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale
dur sahil se kisi mauj-e-gurezan ki tarah

dil ki wadi mein tera dard barasta hi raha
abr-e-naisan ki tarah abr-e-bahaaran ki tarah

fasle waqt mein tabdil hue jate hain
zindagi raqs mein hai gardish-e-dauran ki tarah

dil ki taskin ko mange ka ujala kahiye
raat ek shoKH ki yaad aai thi mehman ki tarah

aarzu aur zamane ki kashakash se gurez
zindagi aur charagh-e-tah-e-daman ki tarah

gar na ho KHatir nazuk pe garan to kah dun
baat bhi dil mein utar jati hai paikan ki tarah

ek taswir bani sarhad-e-izhaar se dur
nutq hairan hai mere dida-e-hairan ki tarah

chand nikhra hai teri lauh-e-jabin ki surat
raat bikhri hai teri zulf-e-pareshan ki tarah

kis ne hans hans ke piya zahr-e-malamat paiham
kaun ruswa sar-e-bazar hai 'taban' ki tarah