daur-e-sabuhi shola-e-mina raqsan chhanw mein taron ki
pir-e-mughan ne jam uThaya id hui mai-KHwaron ki
kitne hi dar khul jaenge josh-e-junun ko baDhne do
band rahega kya dar-e-zindan KHair nahin diwaron ki
kafir-e-ishq samajh kar hum ko kitne tufan uThte hain
dil ki baat ko kis se kah den basti hai din-daron ki
pas-e-adab se ek ek kanTa hum ne chuna hai palkon se
aaKHir kuchh tazim thi lazim dasht-e-wafa ke KHaron ki
kitne dukh ke din bite hain is ka bhi tha hosh kahan
apne haal ko kuchh samjha hun surat se gham-KHwaron ki
zulf-e-pareshan raaz ki juya baad-e-saba yaksar ghammaz
baat teri KHalwat tak pahunchi hum wahshi aawaron ki
mausam-e-gul ki ranai ne dasht mein Dere Dale hain
tum bhi 'rawish' ab ghar se niklo rut aai hai bahaaron ki
Ghazal
Daur-e-sbuhi shola-e-mina raqsan chhanw mein taron ki
Ravish Siddiqi