اردو हिंदी
Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai | Shaahi Shayari
daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai

Ghazal

Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai

Chandar Bhan Kaifi Delhwi

;

daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai
paimane do hain gardish-e-paimana ek hai

pita hun ghunT ghunT mein sanson ke sath sath
saqi ka aur umr ka paimana ek hai

jis ashk mein ho ashk-e-nadamat wahi hai ashk
moti bahut hain gauhar-e-yak-dana ek hai

kasrat ki shan aur hai wahdat ka rang aur
aabaad hai jo ek to virana ek hai

tafriq husn-e-sham-o-gul mein zara nahin
soz-o-gudaz-e-bulbul-o-parwana ek hai

jab sun liya firaq ka qissa to kah diya
majnun ka aur aap ka afsana ek hai

tum ko agar hai apni dil-araiyon pe naz
'kaifi' bhi apne nam ka mastana ek hai