اردو हिंदी
Daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad | Shaahi Shayari
daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad

Ghazal

Daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad

Mohammad Ali Jauhar

;

daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad
hai ibtida hamari teri intiha ke baad

jina wo kya ki dil mein na ho teri aarzu
baqi hai maut hi dil-e-be-muddaa ke baad

tujh se muqable ki kise tab hai wale
mera lahu bhi KHub hai teri hina ke baad

ek shahr-e-arzu pe bhi hona paDa KHajil
hal-mimmazid kahti hai rahmat dua ke baad

lazzat hanuz maida-e-ishq mein nahin
aata hai lutf-e-jurm-e-tamanna saza ke baad

qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islam zinda hota hai har karbala ke baad

ghairon pe lutf hum se alag haif hai agar
ye be-hijabiyan bhi hon uzr-e-haya ke baad

mumkin hai nala jabr se ruk bhi sake agar
hum par to hai wafa ka taqaza jafa ke baad

hai kis ke bal pe hazrat-e-'jauhar' ye ru-kashi
DhunDenge aap kis ka sahaara KHuda ke baad