daur-e-falak jab dohraata hai mausam-e-gul ki raaton ko
kunj-e-qafas mein sun lete hain bhuli-bisri baaton ko
reg-e-rawan ki narm tahon ko chheDti hai jab koi hawa
sune sahra chiKH uThte hain aadhi aadhi raaton ko
aatish-e-gham ke sail-e-rawan mein ninden jal kar rakh huin
patthar ban kar dekh raha hun aati jati raaton ko
mai-KHane ka afsurda mahaul to yunhi rahna hai
KHushk labon ki KHair manao kuchh na kaho barsaton ko
'nasir' mere munh ki baaten yun to sachche moti hain
lekin un ki baaten sun kar bhul gae sab baaton ko
Ghazal
Daur-e-falak jab dohraata hai mausam-e-gul ki raaton ko
Nasir Kazmi