daur-e-charKH-e-kabud jari hai
jism-o-jaan par jumud tari hai
goya insan nahin hayula hun
meri rag rag mein dud sari hai
maut ham-sae mein hui hai to kya
bazm-e-raqs-e-surur jari hai
doston se wo kya karenge suluk
jin par apna wajud bhaari hai
hai tasawwur mein ek ruKH-e-raushan
aur lab par darud jari hai
umr bhar khul saki na dil ki girah
KHub shaghl-e-kushud-kari hai
bhar na paega zaKHm-e-dil 'sahir'
zarb-e-harf-e-husud kari hai
Ghazal
Daur-e-charKH-e-kabud jari hai
Sahir Hoshiyarpuri