daulat shohrat qatl tabahi kya kya hain pahchan na puchh
aaj wafa ke afsanon ke kitne hain unwan na puchh
jhuT dagha, nafrat aur rishwat zehnon ke nilam hue hain
aur taraazu mein sone ke tulte hain iman na puchh
jalti chitaen KHuni manzar, chiKHen, karb aur sannaTe
kis ko hum ilzam lagaen basti hai viran na puchh
dard ke baadal chhae hue hain jaane kab ye baras paDen
bhigi bhigi si aankhen hain Thahra hai tufan na puchh
tapta suraj, ret ka dariya, surKH ujale, kali raat
jaane kaise is dharti par rahte hain insan na puchh
jhulse chehre, zaKHmi ruhen, KHun ke dhabbe, gham ke dagh
aaine mein dekh ke surat duniya hai hairan na puchh
pyase lab aur jalte KHeme, tir-o-KHanzar sine mein
nasl-e-nau pe un ke 'ahsan' kitne hain ehsan na puchh
Ghazal
Daulat shohrat qatl tabahi kya kya hain pahchan na puchh
Nawab Ahsan