daulat mili jahan ki nam-o-nishan mile
sab kuchh mila hamein na magar mehrban mile
pahle bhi jaise dekh chuke hon unhen kahin
anjaan wadiyon mein kuchh aise nishan mile
baDhta gaya main manzil-e-mahbub ki taraf
hail agarche rah mein sang-e-garan mile
rona paDa nasib ke hathon hazar bar
ek bar muskura ke jo tum mehrban mile
hum ko KHushi mili bhi to bas aarzi mili
lekin jo gham mile wo gham-e-jawedan mile
baqi rahegi hashr tak un ke karam ki yaad
mujh ko rah-e-hayat mein jo mehrban mile
phir kyun kare talash koi aur aastan
wo KHush-nasib jis ko tera aastan mile
ahl-e-sitam ki dil-shikani ka sabab hua
dil ka ye hausla ki gham be-karan mile
saqi ki ek nigah se kaya palaT gai
zahid jo mai-kade mein mile naujawan mile
dair-o-haram ke log bhi darman na kar sake
wo bhi asir-e-kashmakash-e-in-o-an mile
nazren talash karti rahin jin ko umr-bhar
'darshan' ko wo sukun ke lamhe kahan mile
Ghazal
Daulat mili jahan ki nam-o-nishan mile
Darshan Singh