اردو हिंदी
Daulat-e-husn ki bhi hai kya luT | Shaahi Shayari
daulat-e-husn ki bhi hai kya luT

Ghazal

Daulat-e-husn ki bhi hai kya luT

Haidar Ali Aatish

;

daulat-e-husn ki bhi hai kya luT
aankhon ko paD gai hai luTa-luT

chal rahi hai dila hawa-e-bahaar
lala phula hai dagh-e-sauda luT

samne tere jo paDe ai turk
us mein kaba ho ya kalisa luT

chaar din hai bahaar ai bulbul
zar-e-gul ka hazar toDa luT

saf-e-mizhgan se kah rahi hai wo chashm
dil milen jitne be-tahasha luT

sarf-e-allah mal-e-duniya kar
mard hai kuchh to bahr-e-uqba luT

saf dil ho to jalwa-gar ho yar
aaina ho to ho tamasha luT

neamat-KHwan-e-husn jo mil jae
ye samajh le hai mann-o-salwa luT

gauhar-e-abla hue to chale
lenge diwano KHar-e-sahra luT

jaante hain ki fauj-e-jangi se
nahin sardar pher leta luT

kaam mardon ka hai ye ai 'atish'
rakhti hai jaan ka bhi khaTka luT