daulat-e-harf-o-bayan sath liye phirte hain
hum mohabbat ka jahan sath liye phirte hain
ek tabassum pe na jaana ki tere diwane
gham ka ek koh-e-giran sath liye phirte hain
jis pe ek sans ki takrar se baal aa jae
hum wo shishe ka makan sath liye phirte hain
aandhiyan us ko bujhane ke liye hain betab
hum jo ye mishal-e-jaan sath liye phirte hain
dasht-e-ghurbat mein buzurgon ki dua hai hamrah
saya-e-abr-e-rawan sath liye phirte hain
sang-e-dar se jo tere surat-e-saughat mila
raushni ka wo nishan sath liye phirte hain
hum ne dekha to nahin sirf suna hai ki 'sarosh'
aaj-kal sarw-e-rawan sath liye phirte hain

Ghazal
Daulat-e-harf-o-bayan sath liye phirte hain
Rifat Sarosh