dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf
dekhta hargiz nahin pairon ke chhaalon ki taraf
bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue
ab mera ugla nishana KHanqahon ki taraf
ab mere daman se uljhi hain kaTili jhaDiyan
kyun nikal aaya tha ghar se KHar-zaron ki taraf
saKHt tanhai ki wahshat se mujhe marna nahin
ghar se ghabra kar nikal paDta hun rahon ki taraf
dekhna KHurshid-e-alam-tab ka aalam ki phir
DhunDne nikla hai KHud ko mah-paron ki taraf
Ghazal
DauDta rahta hun na-malum samton ki taraf
Jamal Owaisi