dastur mohabbat ka sikhaya nahin jata
ye aisa sabaq hai jo paDhaya nahin jata
kamsin hain wo aise unhen zalim kahun kaise
masum pe ilzam lagaya nahin jata
aaina dikhaya to kaha aaina-ruKH ne
aaine ko aaina dikhaya nahin jata
kya chheD hai aanchal se gulistan mein saba ki
un se ruKH-e-raushan ko chhupaya nahin jata
hairat hai ki mai-KHane mein jata nahin zahid
jannat mein musalman se jaya nahin jata
ab maut hi le jae to le jae yahan se
kuche se tere hum se to jaya nahin jata
is darja pasheman mera qatil hai ki us se
mahshar mein mere samne aaya nahin jata
'purnam' gham-e-ulfat mein tum aansu na bahao
is aag ko pani se bujhaya nahin jata
Ghazal
Dastur mohabbat ka sikhaya nahin jata
Purnam Allahabadi