dastiyab us ko hua jab se hai gul-dasta-e-dagh
bulbul-e-dil ka nahin milta hai zinhaar dimagh
halqa-e-zulf se us ki jo ayan hain aariz
shab-e-tarik mein goya ki farozan hai charagh
gar farogh-e-ruKH-e-jaanana madad-farma ho
gham-e-kaunain se ho jawe wahin dil ko faragh
fazl-e-izad se mubarak rahe ai waiz-e-shahr
kucha-e-yar hamein aur tujhe firdaus ka bagh
mast-e-ishq-e-shah-e-KHadim hun main 'asim' yaksar
jis ne baKHsha hai mujhe baada-e-irfan ka ayagh

Ghazal
Dastiyab usko hua jab se hai gul-dasta-e-dagh
Shah Aasim