اردو हिंदी
Dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun | Shaahi Shayari
dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun

Ghazal

Dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun

Razi Akhtar Shauq

;

dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun
ek shaKHs meri tarah ka aaya hai ki main hun

sab jaisa hun lekin mere taswir-garon ne
chehra mera is ruKH se banaya hai ki main hun

kya nind thi wo apne na hone ke nashe ki
kyun ye mere hone ne bataya hai ki main hun

main hun ki hain maujud mere dekhne wale
KHud mujh ko to kam kam nazar aaya hai ki main hun

main hun so ye KHushbu teri aati rahi mujh se
kuchh tere bhi hone se sujhaya hai ki main hun

main is mein magan wahm hai ya KHwab hai hasti
logon ne magar dam bichhaya hai ki main hun

dekhun to mere aks se kya kahta hai dariya
pal-bhar ko to lahron ne bataya hai ki main hun

kuchh rang lagae bhi hain taswir-garon ne
ya hans ke ye kaghaz hi uDaya hai ki main hun

kuchh kam to nahin ye mere hone ki gumrahi
is jurm mein kis kis ne sataya hai ki main hun