dastak hawa ne di hai zara ghaur se suno
tufan ki aa rahi hai sada ghaur se suno
shaKHen uTha ke hath dua mangne lagin
sargoshiyan chaman mein hain kya ghaur se suno
mahsus kar raha hun main karb-e-shikastagi
tum bhi shaguft-e-gul ki sada ghaur se suno
gulchen ko dekh leti hai jab koi shaKH-e-gul
deti hai bad-dua ki dua ghaur se suno
ye aur baat KHushk hain aankhen magar kahin
khul kar baras rahi hai ghaTa ghaur se suno
shaKHon se TuTte hue patton ko dekh kar
roti hai munh chhupa ke hawa ghaur se suno
ye dasht-e-be-karan ye pur-asrar KHamushi
aur dur ek sadae zara ghaur se suno
ye baz-gasht meri sada ki hai ya mujhe
aawaz de raha hai KHuda ghaur se suno
baDhti chali hai arz-o-sama mein kashidgi
kaunain mein hai hashr bapa ghaur se suno
kab tak zamin uThae rahe aasman ka bojh
ab TuTti hai rasm-e-wafa ghaur se suno
main TuTta hun KHair mujhe TuTna hi hai
dharti chaTaKH rahi hai zara ghaur se suno
sahra mein chiKHte hain bagule to shahr shahr
ek shor hai sukut-faza ghaur se suno
'shair' tarashte to ho dil mein KHuda ka but
aawaza-e-shikast-e-ana ghaur se suno
Ghazal
Dastak hawa ne di hai zara ghaur se suno
Himayat Ali Shayar