اردو हिंदी
Dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya | Shaahi Shayari
dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

Ghazal

Dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

Ahmad Azeem

;

dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya
lekin main chand-raat mein bahar nahin gaya

aankhon mein uD raha hai abhi tak ghubar-e-hijr
ab tak wida-e-yar ka manzar nahin gaya

ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de
main tere sath sath raha ghar nahin gaya

tu ne bhi sare zaKHm kisi taur sah liye
main bhi bichhaD ke ji hi liya mar nahin gaya

sada fasil-e-shahr mujhe dekhti rahi
lekin main tera nam bhi likh kar nahin gaya

baKHsha shab-e-firaq ko dil ne abad ka tul
shab bhar lahuluhan raha mar nahin gaya