dastar-e-ehtiyat bacha kar na aaega
koi bhi us gali se subuk-sar na aaega
bas ek jast aur sar-e-ku-e-justuju
phir raste mein koi samundar na aaega
uD jaenge hawa mein sabhi naqsh-e-na-tamam
aur mausam-e-hunar bhi palaT kar na aaega
kab tak rahoge zid ke ahate mein KHema-zan
wo hadd-e-ehtiyat se bahar na aaega
yun mutmain hain raste sehn-e-sukut ke
jaise kabhi sadaon ka lashkar na aaega
jo kuchh hai wo bahut hai ki phir is nawah mein
ek lamha-e-sukun bhi mayassar na aaega
'aKHtar' ab intizar ki parchhaiyan sameT
is dhup mein wo mom ka paikar na aaega
Ghazal
Dastar-e-ehtiyat bacha kar na aaega
Sultan Akhtar