dastan-e-shama thi ya qissa-e-parwana tha
anjuman mein ishq hi unwan har afsana tha
justaju-e-dair-o-kaba se hua zahir yahi
main haqiqat mein KHud apni zat se begana tha
meri hasti thi ba-zat-e-KHud mukammal mai-kada
main kabhi shisha kabhi saghar kabhi paimana tha
hae wo ayyam-e-tifli hae wo ahd-e-shabab
KHwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha
bad-gumani se hua apne parae ka guman
warna apna tha na duniya mein koi begana tha
chashm-e-bina hi na thi teri wagarna ai kalim
zarre zarre mein zuhur-e-jalwa-e-jaanana tha
mahfil-e-hasti mein dekha hai yahi hum ne 'jalis'
jis ko jitna hosh tha utna hi wo diwana tha
Ghazal
Dastan-e-shama thi ya qissa-e-parwana tha
Brahma Nand Jalees