dast-o-pa hain sab ke shal ek dast-e-qatil ke siwa
raqs koi bhi na hoga raqs-e-bismil ke siwa
muttafiq is par sabhi hain kya KHuda kya naKHuda
ye safina ab kahin bhi jae sahil ke siwa
main jahan par tha wahan se lauTna mumkin na tha
aur tum bhi aa gae the pas kuchh dil ke siwa
zindagi ke rang sare ek tere dam se the
tu nahin to zindagi kya hai masail ke siwa
us ki mahfil aaina-KHana to thi lekin 'surur'
sare aaine salamat the mere dil ke siwa
Ghazal
Dast-o-pa hain sab ke shal ek dast-e-qatil ke siwa
Suroor Barabankvi