dast-e-zaruriyat mein baTta chala gaya
main be-panah shaKHs tha ghaTta chala gaya
pichhe haTa main rasta dene ke waste
phir yun hua ki rah se haTta chala gaya
ujlat thi is qadar ki main kuchh bhi paDhe baghair
auraq zindagi ke palaTta chala gaya
jitni zyaada aagahi baDhti gai meri
utna darun-e-zat simaTta chala gaya
kuchh dhup zindagi ki bhi baDhti chali gai
aur kuchh KHayal-e-yar bhi chhaTta chala gaya
ujDe hue makan mein kal shab tera KHayal
aaseb ban ke mujh se lipaTta chala gaya
us se talluqat baDhane ki chah mein
'fahmi' main apne-ap se kaTta chala gaya
Ghazal
Dast-e-zaruriyat mein baTta chala gaya
Shaukat Fahmi