اردو हिंदी
Dast-e-talab daraaz ziyaada na kar sake | Shaahi Shayari
dast-e-talab daraaz ziyaada na kar sake

Ghazal

Dast-e-talab daraaz ziyaada na kar sake

Zain Ramish

;

dast-e-talab daraaz ziyaada na kar sake
hum zindagi se koi taqaza na kar sake

chunki karam pe hum tere shubha na kar sake
bas ai KHuda gunah se tauba na kar sake

jab e'tibar-e-zauq-e-nazar bhi na mil saka
nazron ko apni waqf-e-nazara na kar sake

tu jab qarib-e-jaan bhi qarib-e-nazar bhi tha
hum bhi ba-zoam-e-ishq iada na kar sake

phir to tera KHayal bhi aaya nahin kabhi
phir hum teri talab bhi gawara na kar sake