اردو हिंदी
Dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua | Shaahi Shayari
dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua

Ghazal

Dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua

Ahmad Mushtaq

;

dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua
dar mausam-e-bahaar ka wa kyun nahin hua

zalim the wara-e-hisab-o-kitab kya
un par nuzul-e-qahr-e-KHuda kyun nahin hua

un ke saron pe kyun nahin TuTin qayamaten
an ke gharon mein hashr bapa kyun nahin hua

gunji na kyun falak se koi aayat-e-ghazab
ye gumbad-e-sukut sada kyun nahin hua

dil mein hain kis umid ke panje gaDe hue
ye mas naKHunon se juda kyun nahin hua