dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne
kar diya KHatm mujhe ishq ki bimari ne
ras aai hai na aaegi ye duniya lekin
rok rakkha hai mujhe kuch ki tayyari ne
harf us paikar-e-gul par na tha aane wala
us ko sharminda kiya rasm-e-dil-azari ne
yunhi KHushbu se moattar nahin sansen meri
zulf lahrai hai aangan mein kisi pyari ne
hath kya aaega ab jang ko jari rakh kar
faisla kar bhi diya shah ki giraftari ne
qarya-e-KHak se nisbat ki thi KHwahish kis ko
mujh ko zanjir kiya us ki taraf-dari ne
KHush nahin aaya mujhe bagh-e-adan bhi 'sajid'
mar Dala hai mujhe phir meri hushyari ne
Ghazal
Dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne
Ghulam Husain Sajid