dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai
naz karti meri taqdir kahan se aai
chandni sine mein utri hi chali jati hai
chand mein aap ki taswir kahan se aai
apni palkon pe saja lai hai kis ke jalwe
zindagi tujh mein ye tanwir kahan se aai
ho na ho us mein chaman walon ki sazish hai koi
phul ke hath mein shamshir kahan se aai
KHwab to KHair hum us bazm se le aae the
lekin is KHwab ki tabir kahan se aai
KHun-e-hasrat hai kahan aur ye ezaz kahan
ai hina tujh mein ye tauqir kahan se aai
dil se ek aah to nikli hai shakila bano
lekin is aah mein tasir kahan se aai
Ghazal
Dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai
Shakeela Bano