dast-e-munim meri mehnat ka KHaridar sahi
koi din aur main ruswa sar-e-bazar sahi
phir bhi kahlaunga aawara-e-gesu-e-bahaar
main tera dam-e-KHizan lakh giraftar sahi
jast karta hun to laD jati hai manzil se nazar
hail-e-rah koi aur bhi diwar sahi
ghairat-e-sang hai saqi ye gulu-e-tishna
tere paimane mein jo mauj hai talwar sahi
main ne dekhi dekhi usi mein gham-e-dauran ki jhalak
be-KHabar rang-e-jahan se nigah-e-yar sahi
un se bichhDe hue 'majruh' zamana guzra
ab bhi honTon mein wahi garmi-e-ruKHsar sahi
Ghazal
Dast-e-munim meri mehnat ka KHaridar sahi
Majrooh Sultanpuri