dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main
sar-ba-sar sang-tarashon ka muqaddar hun main
ghunT lamhat ki pi pi ke dhula jata hun
an-ginat waqt ke dhaaron ka shanawar hun main
kya Dubo deta hun main dil ke kuen mein KHud ko
chashm-e-be-nur mein yusuf ka baradar hun main
kirchiyan zehn mein paiwast hain palkon ki tarah
chashm-e-ayyam se chhuTa hua saghar hun main
oDh leti hai mujhe sard faza ki dewi
karb ki dhup mein tapti hui chadar hun main
meri aawaz ko aawaz ne taqsim kiya
radio mein hun telephone ke andar hun main
nae mahaul se manus nahin hun ab tak
nanhe bachche ki tarah KHol ke andar hun main
chand ashaar mile type-shuda daftar mein
type-writer pe biThaya hua bandar hun main
Ghazal
Dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main
Kavish Badri