اردو हिंदी
Dast-e-junun mein daman-e-gul ko lane ki tadbir karen | Shaahi Shayari
dast-e-junun mein daman-e-gul ko lane ki tadbir karen

Ghazal

Dast-e-junun mein daman-e-gul ko lane ki tadbir karen

Qamar Jameel

;

dast-e-junun mein daman-e-gul ko lane ki tadbir karen
narm hawa ke jhonko aao mausam ko zanjir karen

mausam-e-abr-o-baad se pochhen lazzat-e-sozan ka mafhum
mauja-e-KHun se daman-e-gul par harf-e-junun tahrir karen

aamad-e-gul ka virani bhi dekh rahi hai kya kya KHwab
virani ke KHwab ko aao wahshat se tabir karen

raat ke jage subh ki halki narm hawa mein soe hain
dekhen kab tak nind ke mate uThne mein taKHir karen

tanhai mein kahish-e-jaan ke hathon kis aaram se hain
kaise apne naz uThaen kya apni tahqir karen

betabi to KHair rahegi betabi ki baat nahin
marna itna sahl nahin hai jine ki tadbir karen

ghum rahe hain dasht-e-junun mein un ke kya kya rup 'jamil'
kis ko dekhen kis ko chhoDen kis ko ja ke asir karen