dast-e-dua ko kasa-e-sail samajhte ho
tum dost ho to kyun nahin mushkil samajhte ho
sine pe hath rakh ke batao mujhe ki tum
jo kuchh dhaDak raha hai use dil samajhte ho
har shai ko tum ne farz kiya aur is ke baad
sae ko apna madd-e-muqabil samajhte ho
dariya tumhein sarab dikhai diya aur ab
gard-o-gubar-e-rah ko manzil samajhte ho
KHush-fahmiyon ki had hai ki pani mein ret par
jo bhi jagah mile use sahil samajhte ho
tanhai jalwa-gah-e-tahayyur hai aur tum
viraniyon ke raqs ko mahfil samajhte ho
jis ne tumhaari nind pe pahre biTha diye
apni taraf se tum use ghafil samajhte ho
Ghazal
Dast-e-dua ko kasa-e-sail samajhte ho
Saleem Kausar