dast-e-daman dua rahe na rahe
hum chale ab wafa rahe na rahe
main fana ki Dagar pe hun yaro
ab kisi ki saza rahe na rahe
aaine tum to mere sath raho
mujh mein chahe ada rahe na rahe
jalna qismat mein hai to jalna hai
chhat pe koi ghaTa rahe na rahe
panw nange hain har tamanna ke
sar pe ab ke rida rahe na rahe
ho gai jo KHata to ab ke baras
mujh mein koi KHata rahe na rahe
jal gai bagh ki umiden bhi
ab gulon mein faza rahe na rahe
mere zaKHmon ke dast-e-daman mein
dard ki ab dawa rahe na rahe
bujh gae dip sab wafaon ke
sahn mein ab hawa rahe na rahe
farq paDta hai kya bhala mujh ko
us ke dil mein dagha rahe na rahe
alamiye KHub hum ne jhele hain
Dar nahin alamiya rahe na rahe
girya-o-gham ke aaine mein hain
aks mein ab aza rahe na rahe
mere pahlu se aag hai lipTi
sar pe baad-e-saba rahe na rahe
lab khule hain to kuchh suno pal-bhar
kyun ke phir ye gila rahe na rahe
ab na lauTenge phir kabhi 'mariyam'
mere pichhe sada rahe na rahe
Ghazal
Dast-e-daman dua rahe na rahe
Maryam Naz