dast-baston ko ishaara bhi to ho sakta hai 
ab wahi shaKHs hamara bhi to ho sakta hai 
main ye aise hi nahin chhan raha hun ab tak 
KHak mein koi sitara bhi to ho sakta hai 
ain mumkin hai ki binai mujhe dhoka de 
ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai 
is mohabbat mein har ek shai bhi to luT sakti hai 
is mohabbat mein KHasara bhi to ho sakta hai 
gar hai sanson ka tasalsul meri qismat mein 'KHayal' 
phir ye girdab kinara bhi to ho sakta hai
        Ghazal
Dast-baston ko ishaara bhi to ho sakta hai
Ahmad Khayal

