dast-bardar zindagi se hua
aur ye sauda meri KHushi se hua
aagahi bhi na kar saki pura
jitna nuqsan aagahi se hua
main hua bhi to ek din raushan
apne andar ki raushni se hua
zindagi mein kasak zaruri thi
ye KHala pur teri kami se hua
dil tarafdar-e-hijr tha hi nahin
ab hua bhi to be-dili se hua
shor jitna hai kaenat mein shor
mere andar ki KHamushi se hua
kaisa mansab hai aadmi ka ki rab
jab muKHatib hua usi se hua
peD ho ya ki aadmi 'ghaer'
sar-buland apni aajizi se hua
Ghazal
Dast-bardar zindagi se hua
Kashif Husain Ghair