dasht se main jo apne ghar aaya
mere dil mein KHuda utar aaya
jis ki qimat na de saka koi
mere hisse mein wo guhar aaya
sari duniya hai rah par meri
jab se main teri rah par aaya
kitne patthar hain samne lekin
but-gari ka kise hunar aaya
kis ne duniya ko zindagi de di
maut ka dil bhi aaj bhar aaya
phir dar-o-baam ho gae rangin
phir lahu mera mauj par aaya
Ghazal
Dasht se main jo apne ghar aaya
Midhat-ul-Akhtar