dasht-o-sahra mein samundar mein safar hai mera
rang phaila hua ta-hadd-e-nazar hai mera
nahin malum, use us ki KHabar hai ki nahin
wo kisi aur ka chehra hai, magar hai mera
tu ne is bar to bas mar hi Dala tha mujhe
main hun zinda to meri jaan hunar hai mera
aaj tak apni hi tardid kiye jata hun
aaj tak mere KHad-o-KHal mein Dar hai mera
baghban aisa ki miTTi mein mila baiTha hun
shaKH-dar-shaKH daraKHton pe asar hai mera
shaeri, ishq, gham-e-rizq, kitaben, ghar-bar
kai samton mein ba-yak-waqt guzar hai mera
Ghazal
Dasht-o-sahra mein samundar mein safar hai mera
Aziz Nabeel