dasht-o-sahra ki kahan ab zindagani chahiye 
aur agar aisa hai to honTon ko pani chahiye 
sochta hun mere dil tak kis tarah pahunche koi 
be-nishan ghar ke liye kuchh to nishani chahiye 
putliyon par raqs karna hi kalam-e-fan nahin 
dard ke aansu ko to paiham rawani chahiye 
ek sunahra KHwab meri nind ko darkar hai 
KHwab ko bhi nind hi ki pasbani chahiye 
raat guzri hai hisar-e-karb mein ai 'mazhari' 
sham ab dil ke liye koi suhani chahiye
        Ghazal
Dasht-o-sahra ki kahan ab zindagani chahiye
Kausar Mazhari

