اردو हिंदी
Dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati | Shaahi Shayari
dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati

Ghazal

Dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati

Baqi Ahmad Puri

;

dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati
ghar ki diwar thi diwar kahan tak jati

miT gai hasrat-e-didar bhi rafta rafta
hijr mein hasrat-e-didar kahan tak jati

thak gae honT tera nam bhi lete lete
ek hi lafz ki takrar kahan tak jati

laj rakhna thi masihai ki hum ko warna
dekhte lazzat-e-azar kahan tak jati

rahbar us ko sarabon mein liye phirte the
KHilqat-e-shahr thi bimar kahan tak jati

har taraf husn ke bazar lage the 'baqi'
har taraf chashm-e-KHaridar kahan tak jati